People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Sachche Ka Hai Bol Bala
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
sachhe ka hai bolbala suno re bhai
jhute ka hai muh kala ho
sachhe ka hai bolbala suno re bhai
jhute ka hai muh kala

ho sach ki khatir haris chndra ne
chhoda raj aur paath
aaj unki mahima gate hai
bade bade samrat ho
sach ki raah pe chalkar
unko mila saty ka naam
nanha balak bhukh se mar gaya
patani hui nilaam
are jhute ki hai diwali jagat mein
sachhe ka diwala
ho jhute ka hai bolbala jagat mein
jhute ka hai bolbala

rishi muni se ambar kah gaye
bolo sach ki boli
hay bolo sach ki boli
ho aap murade puri hongi
bhari raheni jholi
ho bhari raheni jholi
do din ki hay is duniyan mein
bol sach ki boli
hay bol sach ki boli
yahan mashiha chadhe suli par
yahan mashiha chadhe suli par
saf uthaye boli
jhute ki hai diwali jagat mein
sachhe ka diwala
jhute ka hai bolbala jagat mein
jhute ka hai bolbala
sachhe ka hai bolbala suno re bhai
jhute ka hai muh kala ho
sachhe ka hai bolbala suno re bhai
jhute ka hai muh kala
Aye Mere Meharban
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
ae mere meharba ab na le imtiha
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
aaj hume aazmana hai kya
ae mere meharba

sham ke saye dhalne lage
dard karwat badalne lage
sham ke saye dhalne lage
dard karwat badalne lage
jab chali thandi thandi
dil ke arma machalne lage
saans ghutne lagi aas chhutne lagi
is kadar bhi satana hai kya
ae mere meharba ab na le imtiha
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
aaj hume aazmana hai kya
ae mere meharba

jab pukare chale aayenge
dil ki dhadkan me lahrayenge
jab pukare chale aayenge
dil ki dhadkan me lahrayenge
hum kisi haal me bhi rahe
dur tumse na rah payenge
tum bulati raho ji lubhati raho
to khushi ka thikana hai kya
ae mere meharba ab na le imtiha
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
aaj hume aazmana hai kya
ae mere meharba

tum milo to mile roshni
hum hanso to hanse har kali
tum ruko to zamana ruke
tum chalo to chale zindagi
tum jo humse mile
mit gaye sab gile
ab hume aur pana hai kya
ae mere meharba ab na le imtiha
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
aaj hume aazmana hai kya
ae mere meharba
Mere Munne Re
Singer: Geeta Dutt
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
mere munne re mere munne re sidhi rah pe chalna
jug jug tak fulna falna
mere munne re sidhi rah pe chalna
jug jug tak fulna falna mere munne re

kaisi bhi muskil aaye tera paw na dolne paye
tera paw na dolne paye tu kul ka man badhaye
mai tujh par balhari sidhi rah pe chalna
jug jug tak fulna falna mere munne re

sabh bat se mat ghabrana har jhuth pe takra jana
har jhuth pe takra jana sansar me nam kamana
mai tujh par balhari sidhi rah pe chalna
jug jug tak fulna falna mere munne re

meri jiwan rat andheri tu nanhi jyot hai meri
tu nanhi jyot hai meri kal hoke na ho har teri
sidhi rah pe chalna jug jug tak fulna falna
mere munne re sidhi rah pe chalna
jug jug tak fulna falna mere munne re
Arey O Deewane
Singer: Geeta Dutt
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
are o diwane khushi ke jamane
phir nahi aane re man bhi ja
are o diwane khushi ke jamane
phir nahi aane re man bhi ja

ye sharmana ye ghabrana thik nahi
aahe bharna ji tarsana thik nahi
jine ke bahane sare jag jane
tu nahi jane re jaan bhi ja
are o diwane khushi ke jamane
phir nahi aane re man bhi ja

badh ke dil ka daw laga le der na kar
koi suhana dhokha khale der na kar
jine ke bahane sare jag jane
tu nahi jane re jaan bhi ja
are o diwane khushi ke jamane
phir nahi aane re man bhi ja
are o diwane khushi ke jamane
phir nahi aane re man bhi ja
Gharaz Ho Toh Nakhre
Singer: Mohammad Rafi
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
are garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
nahi to kaha muh lagati hai biwi
nahi to kaha muh lagati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

kahi mukh churaye to kuch bat samjho
mohabbat jataye to kuch bat samjho
bina bat surma lagati nahi ye
kabhi muh pe powder jamati nahi ye
ye jab bhi takalluf pe tyyar hogi
koi na koi chiz darkar hogi
kaha warna julfe banati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
nahi to kaha muh lagati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

haye padoshan ki sari pe dil aa gaya ho
ya sone ka locket koi bha gaya ho
cinema ya thietar me jane ki dhun ho
ke bhiaya ko dulha banane ki dhun ho
kisi byah sadi ki dawat mili ho
garaz koi mahangi jarurat padi hai
tabhi itne kartab dikhati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
nahi to kaha muh lagati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

achanak barasta hai jab pyar iska
kapat me hota hai har war iska
mohabbat ke dokhe me hargiz na aana
bada matter out hai ye jamana
nahi chahte ho jo nuksan sahna
to sunlo meri jan ye johny ka kahna
ke has has ke kaichi chalati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
nahi to kaha muh lagati hai biwi
garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Chahe Dekho Ghoor Ke
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Video:
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya

mukhda hai aisa jaise
laddu moti chur ka laddu moti chur ka
karle garur tujhe hak hai garur ka
tujhe hak hai garur ka
chayi hai dilo pe teri julfo ki daliya
hame to pasand hai gore galo waliya
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya

acha nahi julfo ki jaliyo se khelna jaliyo se khelna
aisa na ho baithe baithe pade dukh jhelna
pade dukh jhelna
tikhi tikhi aankhe meri vish ki hai pyaliya
kale kale nag do kare rakhwaliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya

dukh ho ke sukh hame sab manjur hai sab manjur hai
dil pe na gussa kijiye dil majbur hai dil majbur hai
kise nahi bhayegi ye phulo walo daliya
hame to pasand hai gore galo waliya
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya